Aur log zikr karte hain humari chehre hi aaj kal
ki nazre giri giri si koi gham mein
aur honthon ke rang utri si kyun rehti hai
Unhe hum kaise samjhaye
ke har raat khwabon mein aap se mulaqat hoti hai
aur har baar humari rooh ka ek tukda hum chod aate hain nazraana
Ke ab toh lagne laga hai aaj kal ki humara is duniya mein kam,
uss haseen jahaan mein basera zyada hai.
Hum kehte nahi kuch inn logon se,
woh jaante hain, aur hum bhi
ki ishq mein fanaa huwe sharabiyon ki koi kami nahi
yaha is maikhaney mein
Bas do ghoont pi lene do, musafir
phir aap ko apni manzil mubarak
aur hum chal diye uss khoobsurat saaye ki orh...